Jala Bala Hun Giraftar-e-haal Apna Hun

jala bala hun giraftar-e-haal apna hun

ba-rang-e-shama sarapa wabaal apna hun

is ashk-e-surKH o ruKH-e-zard se samajh le tu

bayan kya karun KHud arz-e-haal apna hun

qarar pakDe mere dil mein kab kisi ki shakl

ba-rang-e-aina mahw-e-jamal apna hun

na mahtab hun ne aaftab hun ya-rab

ye kya sabab hai ki aaphi zawal apna hun

jahan-e-KHwab-e-tamasha jahan ka sab KHwab

KHayal KHub kiya to KHayal apna hun

ba-rang-e-naqsh-e-qadam main paDa hun dar pe tere

na paemal kar ai naunihaal apna hun

rah-e-suluk mein 'joshish' kisi ka mazra-e-dil

jo paemal karun paemal apna hun

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jala Bala Hun Giraftar-e-haal Apna Hun In English By Famous Poet Joshish Azimabadi. Jala Bala Hun Giraftar-e-haal Apna Hun is written by Joshish Azimabadi. Read famous Poem Jala Bala Hun Giraftar-e-haal Apna Hun for youth and Student by Joshish Azimabadi. Free Download Jala Bala Hun Giraftar-e-haal Apna Hun in PDF.