KHush-numa Garche Mad Ka Haala Hai
KHush-numa garche mad ka haala hai
tere kanon ka baala baala hai
dar-e-mai-KHana ka gada hun main
be-piyala mera piyala hai
dil-e-sad-para ye baghal mein na ho
dard dukh ka mere risala hai
us nigah us mizha ki kuchh mat puchh
ek barchhi hai ek bhaala hai
hai dam o hosh apna be-hoshi
hosh jab se yahan sambhaala hai
kaise wada-KHilaf se 'joshish'
haq-taala ne kaam Dala hai
mujh ko hai intizar o betabi
us ko hila hai aur hawala hai
(884) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544