Bujhane Mein Hawaon Ki Shararat Kam Nahin Hoti

bujhane mein hawaon ki shararat kam nahin hoti

magar jalte hue dipak ki shiddat kam nahin hoti

koi ja ke bata de un zara nadan logo ko

lagane se kabhi pahre mohabbat kam nahin hoti

nasha aisa chaDha ulfat ka teri mujh pe ai hamdam

agar main chah lun phir bhi mohabbat kam nahin hoti

main suljhati hun ek mushkil to duji samne aae

meri is zindagi se kyun musibat kam nahin hoti

jidhar dekhun wahin charcha hai mandir aur masjid ka

jahan se sochti hun kyun jahaalat kam nahin hoti

yahi main parashn karti hun akele baiTh kar 'jyoti'

sabab kya hai zamane se ye nafrat kam nahin hoti

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhane Mein Hawaon Ki Shararat Kam Nahin Hoti In English By Famous Poet Jyoti Azad Khatri. Bujhane Mein Hawaon Ki Shararat Kam Nahin Hoti is written by Jyoti Azad Khatri. Read famous Poem Bujhane Mein Hawaon Ki Shararat Kam Nahin Hoti for youth and Student by Jyoti Azad Khatri. Free Download Bujhane Mein Hawaon Ki Shararat Kam Nahin Hoti in PDF.