Ek Tasawwur-e-be-karan Tha Aur Main

ek tasawwur-e-be-karan tha aur main

dard ka sail-e-rawan tha aur main

gham ka ek aatish-fishan tha aur main

dur tak gahra dhuan tha aur main

kis se main un ka Thikana puchhta

samne KHali makan tha aur main

mere chehre se numayan kaun tha

aainon ka ek jahan tha aur main

ek shikasta naw thi ummid ki

ek bahr-e-be-karan tha aur main

justuju thi manzil-e-mauhum ki

ye zamin thi aasman tha aur main

kaun tha jo dhyan se sunta mujhe

qissa-e-ashuftagan tha aur main

hath mein 'ajmal' koi tesha na tha

azm tha koh-e-giran tha aur main

(637) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Tasawwur-e-be-karan Tha Aur Main In English By Famous Poet Kabir Ajmal. Ek Tasawwur-e-be-karan Tha Aur Main is written by Kabir Ajmal. Read famous Poem Ek Tasawwur-e-be-karan Tha Aur Main for youth and Student by Kabir Ajmal. Free Download Ek Tasawwur-e-be-karan Tha Aur Main in PDF.