Jab Hamein Masjid Jaana PaDa Hai

jab hamein masjid jaana paDa hai

rah mein ek mai-KHana paDa hai

jaiye ab kyun jaanib-e-sahra

shahr to KHud virana paDa hai

hum na piyenge bhik ki saqi

le ye tera paimana paDa hai

harj na ho to dekhte chaliye

rah mein ek diwana paDa hai

KHatm hui sab raat ki mahfil

ek par-e-parwana paDa hai

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Hamein Masjid Jaana PaDa Hai In English By Famous Poet Kaif Bhopali. Jab Hamein Masjid Jaana PaDa Hai is written by Kaif Bhopali. Read famous Poem Jab Hamein Masjid Jaana PaDa Hai for youth and Student by Kaif Bhopali. Free Download Jab Hamein Masjid Jaana PaDa Hai in PDF.