Wo Bhi Sarahne Lage Arbab-e-fan Ke Baad

wo bhi sarahne lage arbab-e-fan ke baad

dad-e-suKHan mili mujhe tark-e-suKHan ke baad

diwana-war chand se aage nikal gae

Thahra na dil kahin bhi teri anjuman ke baad

honTon ko si ke dekhiye pachhtaiyega aap

hangame jag uThte hain aksar ghuTan ke baad

ghurbat ki ThanDi chhanw mein yaad aai us ki dhup

qadr-e-watan hui hamein tark-e-watan ke baad

elan-e-haq mein KHatra-e-dar-o-rasan to hai

lekin sawal ye hai ki dar-o-rasan ke baad

insan ki KHwahishon ki koi intiha nahin

do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke baad

(1190) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Bhi Sarahne Lage Arbab-e-fan Ke Baad In English By Famous Poet Kaifi Azmi. Wo Bhi Sarahne Lage Arbab-e-fan Ke Baad is written by Kaifi Azmi. Read famous Poem Wo Bhi Sarahne Lage Arbab-e-fan Ke Baad for youth and Student by Kaifi Azmi. Free Download Wo Bhi Sarahne Lage Arbab-e-fan Ke Baad in PDF.