Barsat Ki Ek Raat

ye barsat ye mausam-e-shadmani

KHas-o-KHar par phaT paDi hai jawani

bhaDakta hai rah rah ke soz-e-mohabbat

jhama-jham barasta hai pur-shor pani

faza jhumti hai ghaTa jhumti hai

daraKHton ko zau barq ki chumti hai

thirakte hue abr ka jazb tauba

ki daman uThae zamin ghumti hai

kaDakti hai bijli chamakti hain bunden

lapakta hai kaunda damakti hain bunden

rag-e-jaan pe rah rah ke lagti hain choTen

chhama-chham KHala mein khanakti hain bunden

falak ga raha hai zamin ga rahi hai

kaleje mein har lai chubhi ja rahi hai

mujhe pa ke is mast shab mein akela

ye rangin ghaTa tir barsa rahi hai

chamakta hai bujhta hai tharra raha hai

bhaTakne ki jugnu saza pa raha hai

abhi zehn mein tha ye raushan taKHayyul

faza mein jo uDta chala ja raha hai

lachak kar sambhalte hain jab abr-pare

baraste hain daman se dum-dar tare

machalti hai rah rah ke baalon mein bijli

gulabi hue ja rahe hain kinare

faza jhum kar rang barsa rahi hai

har ek sans shoala bani ja rahi hai

kabhi is tarah yaad aati nahin thi

wo jis tarah is waqt yaad aa rahi hai

bhala lutf kya manzar-e-pur-asar de

ki ashkon ne aankhon pe Dale hain parde

kahin aur ja kar baras mast baadal

KHuda tera daman jawahir se bhar de

(902) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barsat Ki Ek Raat In English By Famous Poet Kaifi Azmi. Barsat Ki Ek Raat is written by Kaifi Azmi. Read famous Poem Barsat Ki Ek Raat for youth and Student by Kaifi Azmi. Free Download Barsat Ki Ek Raat in PDF.