Intishaar

kabhi jumud kabhi sirf intishaar sa hai

jahan ko apni tabahi ka intizar sa hai

manu ki machhli na kashti-e-nuh aur ye faza

ki qatre qatre mein tufan be-qarar sa hai

main kis ko apne gareban ka chaak dikhlaun

ki aaj daman-e-yazdan bhi tar tar sa hai

saja-sanwar ke jis ko hazar naz kiye

usi pe KHaliq-e-kaunain sharmsar sa hai

tamam jism hai bedar fikr KHwabida

dimagh pichhle zamane ki yaadgar sa hai

sab apne panw pe rakh rakh ke panw chalte hain

KHud apne dosh pe har aadmi sawar sa hai

jise pukariye milta hai ek khanDar se jawab

jise bhi dekhiye mazi ka ishtihaar sa hai

hui to kaise bayaban mein aa ke sham hui

ki jo mazar yahan hai mera mazar sa hai

koi to sud chukae koi to zimma le

us inqalab ka jo aaj tak udhaar sa hai

(1271) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Intishaar In English By Famous Poet Kaifi Azmi. Intishaar is written by Kaifi Azmi. Read famous Poem Intishaar for youth and Student by Kaifi Azmi. Free Download Intishaar in PDF.