Wo Sard Fasla Bas Aaj KaTne Wala Tha

wo sard fasla bas aaj kaTne wala tha

main ek charagh ki lau se lipaTne wala tha

bahut bikhera mujhe mere mehrbanon ne

mera wajud hi lekin simaTne wala tha

bacha liya teri KHushbu ke farq ne warna

main tere wahm mein tujh se lipaTne wala tha

usi ko chumta rahta tha wo ki us ko bhi

aziz tha wahi bazu jo kaTne wala tha

mujhi ko rah badalni thi so badal Dali

kahin pahaD bhi Thokar se haTne wala tha

talash jis ki thi wo harf mil gaya warna

main ek sada waraq aur ulaTne wala tha

ye kis ko tir chalane ka shauq jag uTha

wo baz meri taraf hi jhapaTne wala tha

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Sard Fasla Bas Aaj KaTne Wala Tha In English By Famous Poet Kaifi Wajdani. Wo Sard Fasla Bas Aaj KaTne Wala Tha is written by Kaifi Wajdani. Read famous Poem Wo Sard Fasla Bas Aaj KaTne Wala Tha for youth and Student by Kaifi Wajdani. Free Download Wo Sard Fasla Bas Aaj KaTne Wala Tha in PDF.