Mera Haal Puchh Ke Ham-nashin Mere Soz-e-dil Ko Hawa Na De

mera haal puchh ke ham-nashin mere soz-e-dil ko hawa na de

bas yahi dua main karun hun ab ki ye gham kisi ko KHuda na de

ye jo zaKHm-e-dil ko pakae hum liye phir rahe hain chhupae hum

koi na-shanas-e-mizaj-e-gham kahin hath us ko laga na de

tu jahan se aaj hai nukta-chin kabhi muddaton mein raha wahin

main gada-e-rahguzar nahin mujhe dur hi se sada na de

tab-o-tab-e-ishq ka hai karam ki jami hai mahfil-e-chashm-e-nam

zara dekhiyo ai hawa-e-gham ye charagh koi bujha na de

wo jo shairi ka sabab hua wo moamla bhi ajab hua

main ghazal sunaun hun is liye ki zamana us ko bhala na de

(2505) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Haal Puchh Ke Ham-nashin Mere Soz-e-dil Ko Hawa Na De In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Mera Haal Puchh Ke Ham-nashin Mere Soz-e-dil Ko Hawa Na De is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Mera Haal Puchh Ke Ham-nashin Mere Soz-e-dil Ko Hawa Na De for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Mera Haal Puchh Ke Ham-nashin Mere Soz-e-dil Ko Hawa Na De in PDF.