Nazar Ko Aaina Dil Ko Tera Shana Bana Denge

nazar ko aaina dil ko tera shana bana denge

tujhe hum kya se kya ai zulf-e-jaanana bana denge

hamin achchha hai ban jaen sarapa sarguzisht apni

nahin to log jo chahenge afsana bana denge

umid aisi na thi mahfil ke arbab-e-basirat se

gunah-e-shama ko bhi jurm-e-parwana bana denge

hamein to fikr dil-sazi ki hai dil hai to duniya hai

sanam pahle bana den phir sanam-KHana bana denge

na itna chheD kar ai waqt diwana bana hum ko

hue diwane hum to sab ko diwana bana denge

na jaane kitne dil ban jaenge ek dil ke TukDe se

wo toDen aaina hum aaina-KHana bana denge

(962) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Ko Aaina Dil Ko Tera Shana Bana Denge In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Nazar Ko Aaina Dil Ko Tera Shana Bana Denge is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Nazar Ko Aaina Dil Ko Tera Shana Bana Denge for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Nazar Ko Aaina Dil Ko Tera Shana Bana Denge in PDF.