Tujhe Sang-dil Ye Pata Hai Kya Ki Dukhe Dilon Ki Sada Hai Kya

tujhe sang-dil ye pata hai kya ki dukhe dilon ki sada hai kya

kabhi choT tu ne bhi khai hai kabhi tera dil bhi dukha hai kya

tu rais-e-shahr-e-sitam-garan main gada-e-kucha-e-ashiqan

tu amir hai to bata mujhe main gharib hun to bura hai kya

tu jafa mein mast hai roz-o-shab main kafan-ba-dosh ghazal-ba-lab

tere roab-e-husn se chup hain sab main bhi chup rahun to maza hai kya

ye kahan se aai hai surKH-ru hai har ek jhonka lahu lahu

kaTi jis mein gardan-e-arzu ye usi chaman ki hawa hai kya

(992) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Sang-dil Ye Pata Hai Kya Ki Dukhe Dilon Ki Sada Hai Kya In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Tujhe Sang-dil Ye Pata Hai Kya Ki Dukhe Dilon Ki Sada Hai Kya is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Tujhe Sang-dil Ye Pata Hai Kya Ki Dukhe Dilon Ki Sada Hai Kya for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Tujhe Sang-dil Ye Pata Hai Kya Ki Dukhe Dilon Ki Sada Hai Kya in PDF.