Waqt Ke Dar Par Bhi Hai Bahut Kuchh Waqt Ke Dar Se Aage Bhi

waqt ke dar par bhi hai bahut kuchh waqt ke dar se aage bhi

sham-o-sahar ke sath bhi chaliye sham-o-sahar se aage bhi

aql-o-KHirad ke hangamon mein shauq ka daman chhuT na jae

shauq bashar ko le jata hai aql-e-bashar se aage bhi

dar-o-rasan ki resha-dawani gardan-o-sar tak rahti hai

ahl-e-junun ka panw raha hai gardan-o-sar se aage bhi

mere ghar ko aag laga kar ham-sayon ko hansne do

shoale baDh kar ja pahunchenge mere ghar se aage bhi

ishq ne rah-e-wafa samjhai samjhane ke baad kaha

waqt paDa to jaana hoga rahguzar se aage bhi

shaer fikr-o-nazar ka malik dil ka sultan ghar ka faqir

duniya ka pamal qadam bhi duniya bhar se aage bhi

aankhen jo kuchh dekh rahi hain us se dhoka khaen kya

dil to 'ajiz' dekh raha hai hadd-e-nazar se aage bhi

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ke Dar Par Bhi Hai Bahut Kuchh Waqt Ke Dar Se Aage Bhi In English By Famous Poet Kaleem Aajiz. Waqt Ke Dar Par Bhi Hai Bahut Kuchh Waqt Ke Dar Se Aage Bhi is written by Kaleem Aajiz. Read famous Poem Waqt Ke Dar Par Bhi Hai Bahut Kuchh Waqt Ke Dar Se Aage Bhi for youth and Student by Kaleem Aajiz. Free Download Waqt Ke Dar Par Bhi Hai Bahut Kuchh Waqt Ke Dar Se Aage Bhi in PDF.