Buland-o-past Haqiqat Se Aashna Na Hua

buland-o-past haqiqat se aashna na hua

wo dil ki jis mein koi harf-e-muddaa na hua

wo zinda dil tha main sahta raha gham-e-duniya

usi mein jaan di lekin gurez-pa na hua

chala jo shab ka musafir to is ada se chala

ki jab ruka to dar-e-subh runuma na hua

tumhin batao ki is dil ka kya kiya jae

jo choT kha ke bhi choTon se aashna na hua

sitare toD liye hum ne zuhd-o-taqwa ke

magar jo haqq-e-ibaadat tha wo ada na hua

chale chalo ki abhi subh ki siyahi hai

sahar qarib hai tara koi hua na hua

'kalim' dard-e-mohabbat samajh mein kyun aae

wahi to dard hai jo dard-e-la-dawa na hua

(651) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Buland-o-past Haqiqat Se Aashna Na Hua In English By Famous Poet Kaleem Ahmadabadi. Buland-o-past Haqiqat Se Aashna Na Hua is written by Kaleem Ahmadabadi. Read famous Poem Buland-o-past Haqiqat Se Aashna Na Hua for youth and Student by Kaleem Ahmadabadi. Free Download Buland-o-past Haqiqat Se Aashna Na Hua in PDF.