Zor-e-bazu Bhi Hai Aur Samne NaKHchir Bhi Hai

zor-e-bazu bhi hai aur samne naKHchir bhi hai

dekhna ye hai ki tarkash mein koi tir bhi hai

kis tarah ishq-e-majazi ko haqiqi kar lun

samne tu hai baghal mein teri taswir bhi hai

kuchh nahin hai tere hathon mein lakiron ke siwa

baat naseh ki hai lekin KHat-e-taqdir bhi hai

chheDti hai mujhe aa aa ke meri aazadi

go main qaidi hun mere panw mein zanjir bhi hai

mere hone ka mere hosh ko ehsas nahin

warna jo qatra-e-KHun hai wo sharar-gir bhi hai

ahl-e-dil ke liye aazar hai duniya ko mufid

aql ek hosh hai aur hosh ki tabir bhi hai

koi samjhe ki na samjhe tere ashaar 'kalim'

zor-e-'ghaalib' bhi hai aur dilkashi-e-'mir' bhi hai

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zor-e-bazu Bhi Hai Aur Samne NaKHchir Bhi Hai In English By Famous Poet Kaleem Ahmadabadi. Zor-e-bazu Bhi Hai Aur Samne NaKHchir Bhi Hai is written by Kaleem Ahmadabadi. Read famous Poem Zor-e-bazu Bhi Hai Aur Samne NaKHchir Bhi Hai for youth and Student by Kaleem Ahmadabadi. Free Download Zor-e-bazu Bhi Hai Aur Samne NaKHchir Bhi Hai in PDF.