Phir Iztirab-e-shauq Mein Gham Se Mafar Kahan

phir iztirab-e-shauq mein gham se mafar kahan

wo husn-e-iltifat wo husn-e-nazar kahan

tariki-e-hayat se ghabra gaya hai ji

dekhen shab-e-firaq ki phir ho sahar kahan

tere baghair mahfil-e-dil bhi udas hai

ai husn-e-na-shanas tujhe ye KHabar kahan

ab tak samajh raha tha jise teri rahguzar

tha ek fareb-e-shauq teri rahguzar kahan

arsa hua ki bazm-e-tamanna ujaD chuki

pahli si ab wo raunaq-e-sham-o-sahar kahan

jalwon ki tab la na saki dil ki aankh bhi

phir dekhe kis tarah koi tab-e-nazar kahan

ek chashm-e-lutf ka hai teri muntazir 'kalim'

warna jabin-e-shauq kahan sang-e-dar kahan

(509) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Iztirab-e-shauq Mein Gham Se Mafar Kahan In English By Famous Poet Kaleem Sahasrami. Phir Iztirab-e-shauq Mein Gham Se Mafar Kahan is written by Kaleem Sahasrami. Read famous Poem Phir Iztirab-e-shauq Mein Gham Se Mafar Kahan for youth and Student by Kaleem Sahasrami. Free Download Phir Iztirab-e-shauq Mein Gham Se Mafar Kahan in PDF.