Raat Phaili Hai Tere Surmai Aanchal Ki Tarah

raat phaili hai tere surmai aanchal ki tarah

chand nikla hai tujhe DhunDne pagal ki tarah

KHushk patton ki tarah log uDe jate hain

shahr bhi ab to nazar aata hai jangal ki tarah

phir KHayalon mein tere qurb ki KHushbu jagi

phir barasne lagi aankhen meri baadal ki tarah

be-wafaon se wafa kar ke guzari hai hayat

main barasta raha viranon mein baadal ki tarah

(5020) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Phaili Hai Tere Surmai Aanchal Ki Tarah In English By Famous Poet Kaleem Usmani. Raat Phaili Hai Tere Surmai Aanchal Ki Tarah is written by Kaleem Usmani. Read famous Poem Raat Phaili Hai Tere Surmai Aanchal Ki Tarah for youth and Student by Kaleem Usmani. Free Download Raat Phaili Hai Tere Surmai Aanchal Ki Tarah in PDF.