Din Ka Libas-e-dard Tha Wo To Pahan Chuke

din ka libas-e-dard tha wo to pahan chuke

raat aai jaane kaun sa gham oDhna paDe

ab jald aa milo ki daraKHton ke sath sath

kitne janam guzar chuka hun khaDe khaDe

aksar isi KHayal ne mayus kar diya

shayad tamam umr yun hi kaTni paDe

pure hue hain phul se ek jism ke huzur

arman kuchh aise bhi jo labon tak na aa sake

lamhon ke tar khinchta rahta tha raat din

ek shaKHs le gaya meri sadiyan sameT ke

jine ka shauq le aDe taron se dur dur

mazbut hath maut ka dariya mein phenk de

hum ko azab-e-dahr se milti nahin najat

tum bhi bahisht-e-jism ko virana kar chale

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Ka Libas-e-dard Tha Wo To Pahan Chuke In English By Famous Poet Kamil Akhtar. Din Ka Libas-e-dard Tha Wo To Pahan Chuke is written by Kamil Akhtar. Read famous Poem Din Ka Libas-e-dard Tha Wo To Pahan Chuke for youth and Student by Kamil Akhtar. Free Download Din Ka Libas-e-dard Tha Wo To Pahan Chuke in PDF.