Aur Manzar Hain Bahut Chashm-e-KHaridar Mein Ab

aur manzar hain bahut chashm-e-KHaridar mein ab

KHwab bikte hi nahin shahr ke bazar mein ab

sham gul hoti chali jati hai rafta rafta

sham-e-gul jalti nahin gulshan-e-didar mein ab

waiz-e-shahr nahin shahr-e-sitamgar bhi tamam

naqd-e-jaan mangte hain jurat-e-inkar mein ab

habs-e-jaan hai ki umaDta hi chala aata hai

barish-e-mai bhi chali jati hai be-kar mein ab

shaiKH-sahab kabhi sidhe to nahin the lekin

pech-dar-pech hain in jubba-o-dastar mein ab

(637) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Manzar Hain Bahut Chashm-e-KHaridar Mein Ab In English By Famous Poet Kamran Nadeem. Aur Manzar Hain Bahut Chashm-e-KHaridar Mein Ab is written by Kamran Nadeem. Read famous Poem Aur Manzar Hain Bahut Chashm-e-KHaridar Mein Ab for youth and Student by Kamran Nadeem. Free Download Aur Manzar Hain Bahut Chashm-e-KHaridar Mein Ab in PDF.