KHaraba Aur Hota Hai KHarab Aahista Aahista

KHaraba aur hota hai KHarab aahista aahista

dayar-e-dil pe aate hain azab aahista aahista

sawal-e-wahshat-e-jaan ke jawab aahista aahista

but-e-kafir uThate hain naqab aahista aahista

koi dast-e-hinai mu-qalam se bharta jata hai

nigar-e-sham mein rang-e-sharab aahista aahista

bagula ibtida-e-shauq mein mahmil dikhai de

nazar aate hain sahra mein sarab aahista aahista

bahut bosida yaadon ke waraq jhaDne bhi lagte hain

palaT umr-e-guzishta ki kitab aahista aahista

suragh-e-naqsh-e-pa miTte chale jate hain sahra mein

ubharta hai safar mein iztirab aahista aahista

kamal-e-shauq-e-nazzara mein uryan hota jata hai

sar-e-baam-e-falak wo mahtab aahista aahista

kabhi KHushbu kabhi naghma kabhi rangin pairahan

'nadim' ugti hai yun hi fasl-e-KHwab aahista aahista

(989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHaraba Aur Hota Hai KHarab Aahista Aahista In English By Famous Poet Kamran Nadeem. KHaraba Aur Hota Hai KHarab Aahista Aahista is written by Kamran Nadeem. Read famous Poem KHaraba Aur Hota Hai KHarab Aahista Aahista for youth and Student by Kamran Nadeem. Free Download KHaraba Aur Hota Hai KHarab Aahista Aahista in PDF.