Wahi Sar Hai Wahi Sauda Wahi Wahshat Hai Miyan

wahi sar hai wahi sauda wahi wahshat hai miyan

ab bhi aa jao ki dil ki wahi KHalwat hai miyan

wusat-e-did simaTne hi nahin pati hai

chashm-e-ahu se hamein aaj bhi nisbat hai miyan

umr jab hijr-e-musalsal ki masafat mein kaTi

ye bhi kaT jaegi ek din shab-e-furqat hai miyan

ku-e-dildar mein baqi nahin shorida-saran

shahr daryuza-gar-e-kucha-e-shohrat hai miyan

kyun na hum mauja-e-hairat se lipaT kar sowen

wasl ab tere liye bhi to mashaqqat hai miyan

tum ne kya dekhe nahin shams-o-qamar nezon par

jashn-e-zulmat pe ab kaun si hairat hai miyan

farq-e-taban hai tera matla-e-KHurshid magar

tere kakul mein chhupi sham-e-qayamat hai miyan

dasht-e-hasti mein bahut aabla-pai hai 'nadim'

sarhad-e-marg-e-musalsal to aziyyat hai miyan

(728) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Sar Hai Wahi Sauda Wahi Wahshat Hai Miyan In English By Famous Poet Kamran Nadeem. Wahi Sar Hai Wahi Sauda Wahi Wahshat Hai Miyan is written by Kamran Nadeem. Read famous Poem Wahi Sar Hai Wahi Sauda Wahi Wahshat Hai Miyan for youth and Student by Kamran Nadeem. Free Download Wahi Sar Hai Wahi Sauda Wahi Wahshat Hai Miyan in PDF.