Marka KHatm Hua Jang Abhi Jari Hai

marka KHatm hua jang abhi jari hai

dil ki manen ki KHirad ki yahi dushwari hai

koi patta nahin hilta hai na khulti hai zaban

aah phir se kisi tufan ki tayyari hai

kyun na ye dekh ke binai dagha de jae

shams par bhi abhi zulmat ka fusun tari hai

ab ye hasrat bhi liye jate hain dil ki dil mein

ye to kah lete tera tir bahut kari hai

hae kam-zarfi-e-dil tu ne kahin ka na rakha

aah ne kah diya tazir bahut bhaari hai

tere mashkur hain hamdam kiya wazeh tu ne

feal-e-ghaarat-gari sayyaad ki na-chaari hai

waqt-e-furqat ye karam 'soz' pe barpa kar de

hans ke kah de ki ye inam-e-wafadari hai

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marka KHatm Hua Jang Abhi Jari Hai In English By Famous Poet Kanti Mohan Soz. Marka KHatm Hua Jang Abhi Jari Hai is written by Kanti Mohan Soz. Read famous Poem Marka KHatm Hua Jang Abhi Jari Hai for youth and Student by Kanti Mohan Soz. Free Download Marka KHatm Hua Jang Abhi Jari Hai in PDF.