Na Ghum Dasht Mein Tu Sehn-e-gulistan Se Guzar

na ghum dasht mein tu sehn-e-gulsitan se guzar

jo chahta hai bulandi to kahkashan se guzar

zamin ko chhoD ke nadan na aasman se guzar

zarurat is ki hai to un ke aastan se guzar

isi se teri ibaadat pe rang aaega

jabin jhukana hua un ke aastan se guzar

hai asliyat hai KHizan hi bahaar ki tamhid

bahaar chahe to andesha-e-KHizan se guzar

wafa ki rah mein dar o salib aate hain

zarurat is ki hai har ek imtihan se guzar

'kanwal' KHushi ki hua karti hai yunhi takmil

gham-e-hayat ke har bahr-e-be-karan se guzar

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ghum Dasht Mein Tu Sehn-e-gulistan Se Guzar In English By Famous Poet Kanval Dibaivi. Na Ghum Dasht Mein Tu Sehn-e-gulistan Se Guzar is written by Kanval Dibaivi. Read famous Poem Na Ghum Dasht Mein Tu Sehn-e-gulistan Se Guzar for youth and Student by Kanval Dibaivi. Free Download Na Ghum Dasht Mein Tu Sehn-e-gulistan Se Guzar in PDF.