Tajjub Ye Nahin Hai Gham Ke Maron Ko Na Chain Aaya

tajjub ye nahin hai gham ke maron ko na chain aaya

taDapna dekh kar mera sitaron ko na chain aaya

baDhi be-tabi-e-dil jab to bahne hi lage aansu

mere ham-rah in pinhan sitaron ko na chain aaya

rahe gardish mein sari raat meri be-qarari par

baDe hamdard nikle chand taron ko na chain aaya

hamare aashiyan tak baat rah jati to achchha tha

jala jab tak na sab gulshan shararon ko na chain aaya

koi be-KHud hua be-tab ho kar rah gaya koi

naqab-e-husn uThne par hazaron ko na chain aaya

zamane ke taghayyur ne kiya barbaad gulshan ko

KHizaon ko na chain aaya bahaaron ko na chain aaya

thapeDe un ko bhi khane paDe amwaj tufan ke

meri kashti ke bais hi kinaron ko na chain aaya

gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-uqba gham-e-duniya

'kanwal' is zindagi mein gham ke maron ko na chain aaya

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tajjub Ye Nahin Hai Gham Ke Maron Ko Na Chain Aaya In English By Famous Poet Kanval Dibaivi. Tajjub Ye Nahin Hai Gham Ke Maron Ko Na Chain Aaya is written by Kanval Dibaivi. Read famous Poem Tajjub Ye Nahin Hai Gham Ke Maron Ko Na Chain Aaya for youth and Student by Kanval Dibaivi. Free Download Tajjub Ye Nahin Hai Gham Ke Maron Ko Na Chain Aaya in PDF.