Gandhi-jayanti Par

uThi chaaron taraf se jab ki zulm-o-jabr ki aandhi

payam-e-amn le kar aa gae ruh-e-zaman gandhi

bane hindostan ke waste wo rahbar-e-kaamil

tawassul se unhi ke pai hum ne apni KHud manzil

hui raushan ujale se dayar-e-hind ki wadi

jalai is tarah ki aap ne ek sham-e-azadi

unhi ne jabr se angrez ke hum ko chhuDaya tha

sadaqat ka sharafat ka hamein rasta bataya tha

dikhai rah wo hum ko jo gautam ne dikhai thi

batai baat wo phir se jo isa ne batai thi

uKHuwwat ke wo dariya the mohabbat ke wo sahil the

ahinsa ke wo dai the wo yak-jehti ke qail the

sabaq phir se paDhaya tha jahan-bhar ko bhalai ka

zamana aaj bhi mashkur hai us haq ke dai ka

gharibon ki nahifon ki hamesha dast-giri ki

na parwa ki musibat ki na parwa ki asiri ki

hamare dil munawwar kar diye nur-e-mohabbat se

hue aagah ahl-e-dahr ramz-e-adamiyat se

watan ke aasman par ek raKHshanda sitare the

hamein ye faKHr hai ahl-e-jahan gandhi hamare the

(914) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gandhi-jayanti Par In English By Famous Poet Kanval Dibaivi. Gandhi-jayanti Par is written by Kanval Dibaivi. Read famous Poem Gandhi-jayanti Par for youth and Student by Kanval Dibaivi. Free Download Gandhi-jayanti Par in PDF.