Holi Khelne Ki Farmaish Par

hai ye ahbab ko israr ki holi khelun

toD dun aaj to main zohd-o-taqaddus ka fusun

mast ho kar main piyun jam-e-sharab-e-hasti

hama-tan baada-e-ishrat ke nashe mein jhumun

apni sanjida rawish aur udasi chhoDun

gham ke asnam ko but-KHana-e-dil mein toDun

jal uThen gham ke shabistan mein masarrat ke charagh

barbat-e-dil ke har ek tar ko phir se joDun

mujh ko bahlaenge kya ahl-e-tarab ke naghme

aur tyauhaar ki rangin KHushi ke lamhe

main ne har naqsh-e-masarrat ko daba rakkha hai

aur dekhe hain hasin daur ke sundar sapne

suni suni nazar aati hai bisat-e-hasti

na kahin shisha-o-saghar na surur-o-masti

chashm-e-muflis mein larazte hue ashkon ke charagh

qalb-e-nadar hai jaise koi ujDi basti

aaj insan ka insan lahu pita hai

aaj tahzib ka sultan yunhi jita hai

dewta jabr pe rawan ke hirasan jaise

daman-e-arman ko nadar yunhi sita hai

aaj insan hua makr-o-dagha ka daftar

qalb-e-zardar hai ehsas-e-KHudi ka KHugar

be-KHabar ho ke gharibon ki dabi aahon se

aadmi kibr-o-raunat ka bana hai paikar

holiyan khelte hain KHun-e-bashar se munim

apne aamal pe hota nahin insan nadim

aah aflas se Thukrai jawani ka shabab

fikr ki dhup se larzan hai misal-e-mujrim

qalb-e-mahkum hai is daur mein sunsan dayar

ho gaya hai dil-e-majbur dukhon se bezar

kya na aaega kabhi dahr mein parhalad ka daur

aag holi ki kisi roz banegi gulzar

mutmain aaj na duniya ka makin hai koi

dahr mein kibr se KHali na jabin hai koi

aaj zardar bana baiTha hai hiranyakashyap

aah is daur mein dam-saz nahin hai koi

har taraf kibr-o-raunat ke sulagte hain alaw

har taraf zist ke gulshan mein hai shoalon ka jamaw

aaj phir holika parhalad ko le baiThi hai

phir se is jalti hui aag ko gulzar banao

phir badalne hain mujhe bekas-o-majbur ke bhag

aaj bhi Daste hain nadar ko zardar ke nag

jazb-e-ehsas ke shoalon ki tapish se ek din

zar ki lanka mein laga dena hai ek bar phir aag

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Holi Khelne Ki Farmaish Par In English By Famous Poet Kanval Dibaivi. Holi Khelne Ki Farmaish Par is written by Kanval Dibaivi. Read famous Poem Holi Khelne Ki Farmaish Par for youth and Student by Kanval Dibaivi. Free Download Holi Khelne Ki Farmaish Par in PDF.