Bhagwan Krishn Ki Taswir Dekh Kar

mujhe tere tasawwur se KHushi mahsus hoti hai

dil-e-murda mein bhi kuchh zindagi mahsus hoti hai

ye taron ki chamak mein hai na phulon hi ki KHushbu mein

teri taswir mein jo dilkashi mahsus hoti hai

tujhe main aaj tak masruf-e-dars-o-waz pata hun

teri hasti mukammal aagahi mahsus hoti hai

ye kya mumkin nahin tu aa ke KHud ab is ka darman kar

faza-e-dahr mein kuchh barhami mahsus hoti hai

ujala sa ujala hai teri sham-e-hidayat ka

shab-e-tira mein bhi ek raushni mahsus hoti hai

main aaun bhi to kya munh le ke aaun samne tere

KHud apne-ap se sharmindagi mahsus hoti hai

taKHayyul mein tere nazdik jab main KHud ko pata hun

mujhe us waqt ik-tarfa KHushi mahsus hoti hai

tu hi jaane kahan le aai mujh ko aarzu teri

ye manzil ab sarapa be-KHudi mahsus hoti hai

'kanwal' jis waqt kho jata hun main us ke tasawwur mein

mujhe to zindagi hi zindagi mahsus hoti hai

(625) Peoples Rate This

Kanval M.A's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Bhagwan Krishn Ki Taswir Dekh Kar In English By Famous Poet Kanval M.A. Bhagwan Krishn Ki Taswir Dekh Kar is written by Kanval M.A. Read famous Poem Bhagwan Krishn Ki Taswir Dekh Kar for youth and Student by Kanval M.A. Free Download Bhagwan Krishn Ki Taswir Dekh Kar in PDF.