Ruh-e-ajdad Ko JhinjhoD Diya Bachchon Ne

ruh-e-ajdad ko jhinjhoD diya bachchon ne

sare haalat ka ruKH moD diya bachchon ne

aaKHiri ek khilauna tha riwayat ka waqar

baaton baaton mein jise toD diya bachchon ne

ghar ka har shaKHs nazar aata hai but patthar ka

jab se rishton ko naya moD diya bachchon ne

zindagi aaj hai ek aise apahij ki tarah

la ke jangal mein jise chhoD diya bachchon ne

aaj ke daur ki tahzib ka patthar le kar

ek diwane ka sar phoD diya bachchon ne

zad mein aa jaenge sab shahr sabhi ganw bhi

mauj-e-dariya ko kidhar moD diya bachchon ne

sab buzurgon ke tabassum ko dikhawa kahiye

warna ye sach hai ki dil toD diya bachchon ne

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ruh-e-ajdad Ko JhinjhoD Diya Bachchon Ne In English By Famous Poet Kanval Ziai. Ruh-e-ajdad Ko JhinjhoD Diya Bachchon Ne is written by Kanval Ziai. Read famous Poem Ruh-e-ajdad Ko JhinjhoD Diya Bachchon Ne for youth and Student by Kanval Ziai. Free Download Ruh-e-ajdad Ko JhinjhoD Diya Bachchon Ne in PDF.