Shama Ki Lau Se Khelte Dekhe Hain Maine Parwane Do

shama ki lau se khelte dekhe hain main ne parwane do

ek to maut se khel raha hai ek kahta hai jaane do

mere badan par tum barsao pyar ki shabnam husn ki aag

yun ghul-mil kar ek nazar se hum paDh len afsane do

jin par jaan luTa di main ne wo hi mujh se barham hain

rone par pabandi hai to qahqaha ek lagane do

tum ne pilai jitni pilai dekho hain pyase rind abhi

saqi-gari se hath na khincho sab ki dua lo aane do

mai se main tauba kar lunga ye lo meri tauba hai

pahle mere hathon mein apni aankhon ke mai-KHane do

us ka kaam hai kahta rahna apna kaam hai sun lena

waiz bhi apna hai 'kanwal' tum waz use farmane do

(594) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shama Ki Lau Se Khelte Dekhe Hain Maine Parwane Do In English By Famous Poet Kanwal Siyalkoti. Shama Ki Lau Se Khelte Dekhe Hain Maine Parwane Do is written by Kanwal Siyalkoti. Read famous Poem Shama Ki Lau Se Khelte Dekhe Hain Maine Parwane Do for youth and Student by Kanwal Siyalkoti. Free Download Shama Ki Lau Se Khelte Dekhe Hain Maine Parwane Do in PDF.