Yun Na Pine Mein Basar Umr Ki Har Sham Karo

yun na pine mein basar umr ki har sham karo

shauq-e-rindi hai to saqi se nazar aam karo

phir na aaenge nazar aise muqaddas chehre

jo baqa baKHshen unhen duniya mein wo kaam karo

hai kudurat se to phir bhik se Thokar achchhi

apni badnami se achchha hai mera nam karo

but hain das bis magar chahne wala dil ek

ek ek kar ke mohabbat se unhen ram karo

chheD do zikr kisi nargis-e-mastana ka

samne mere na tum zikr-e-mai-o-jam karo

tum ko fursat ho agar banne-sanwarne se nadim

ishq farmane se behtar hai ki aaram karo

jaisa gum-sum hai 'kanwal' choT hai gahri khai

aaj tum us ko rula do to baDa kaam karo

(652) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Na Pine Mein Basar Umr Ki Har Sham Karo In English By Famous Poet Kanwal Siyalkoti. Yun Na Pine Mein Basar Umr Ki Har Sham Karo is written by Kanwal Siyalkoti. Read famous Poem Yun Na Pine Mein Basar Umr Ki Har Sham Karo for youth and Student by Kanwal Siyalkoti. Free Download Yun Na Pine Mein Basar Umr Ki Har Sham Karo in PDF.