Mahram-e-raaz-e-haram Hun Waqif-e-but-KHana Hun

mahram-e-raaz-e-haram hun waqif-e-but-KHana hun

main rah-o-rasm-e-mohabbat ka magar diwana hun

main na be-qimat KHazaf hun aur na lal-e-be-baha

main to arbab-e-nazar ke zarf ka paimana hun

meri rag rag mein hai mauj-e-zindagi raqsan magar

ek lab-e-jaan-baKHsh ko tarsa hua paimana hun

hun ba-zahir naqsh kuchh bikhre hue alfaz ka

tum jo ai jaan-e-jahan samjho to ek afsana hun

meri pamali ke charche tum bhi sun loge kabhi

apne gulshan mein hun lekin sabza-e-begana hun

DhunDne niklenge mujh ko ek din ahl-e-wafa

dafn hai ganjina-e-dil jis mein wo virana hun

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahram-e-raaz-e-haram Hun Waqif-e-but-KHana Hun In English By Famous Poet Karam Haidari. Mahram-e-raaz-e-haram Hun Waqif-e-but-KHana Hun is written by Karam Haidari. Read famous Poem Mahram-e-raaz-e-haram Hun Waqif-e-but-KHana Hun for youth and Student by Karam Haidari. Free Download Mahram-e-raaz-e-haram Hun Waqif-e-but-KHana Hun in PDF.