La-intiha Abhi

na jaane wo log gum kahan hain

chhalak rahi thi

falak ke saghar se rahmat-e-haq ki tund sahba

faza-e-ayyam mein mohabbat ki faKHtaen bhi

pankh phailae uD rahi thin

dayar-e-jarman mein jhankti thin

ummid-e-farda ki narm kirnen

magar ye aashob-e-waqt ka hai asar ki jis se

jhulas gae hain tasawwuron ke hasin chehre

faza bhi KHamosh ruh betab

dur mandir ke dewta chup

dhaDakte dil ki ye sansanahaT

khisakte patton ki sarsarahaT

paDe hain KHamosh khokhle mandiron ke naqus

bujhe paDe hain tamaddunon ke hasin fanus

yahan ajanta ka aur konark ka

fann-e-taKHliq hichkiyan le raha hai paiham

yahan to ab saumon mein aur masjidon mein

ghar kar chuke hain taKHrib ke ababil

nafas nafas mein ghuTan ka jazba

ragon mein talKHi hai zahr-e-gham ki

bhaTakte rahne ko ab KHala ke siwa nahin kuchh

gae the jo log us taraf se

unhin ka hai intizar hum ko

wo aaenge kab wo aaenge kab

yahan ahinsa ko ghun laga hai

yahan mohabbat ki wadiyon mein ugi hai kai

payam-e-insaniyat ko goya lagi hai dimak

wo dard-e-dil ki lawen

jo misl-e-charagh jalti rahi thin sadiyon

na jaane kyun aaj bujh chuki hain

nazar ko dhundla rahi hai kyun dur ki siyahi

gae the kuchh log jo udhar se

unhin ka hai intizar hum ko

falak ke la-intiha abhi main

na jaane wo log gum kahan hain

(725) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

La-intiha Abhi In English By Famous Poet Karamat Ali Karamat. La-intiha Abhi is written by Karamat Ali Karamat. Read famous Poem La-intiha Abhi for youth and Student by Karamat Ali Karamat. Free Download La-intiha Abhi in PDF.