Dasht-e-ajnabiyat Mein

dasht-e-ajnabiyat mein

aashnai ki chhanw

sath chhoD jae to

har taraf bagulon ka

raqs gher leta hai

dasht-e-ajnabiyat mein

aashnai ki chhanw

sath chhoD jae to

yas gher leti hai

aas ke jazire ko

aur is jazire ko

kab kisi ne dekha hai

dasht-e-ajnabiyat mein

aashnai ki chhanw

sath chhoD jae to

baadalon ke sae bhi

sargiran se rahte hain

zindagi ke chehre se

rang ruTh jate hain

rang ruTh jaana to

maut ki alamat hai

dasht-e-ajnabiyat mein

aas ke jaziron par

jab kabhi utarna tum

aashnai ki chhanw

sath chhoD jae to

aas ke jaziron ko

yas mein samo lena

aur dil ke daman ko

aansuon se dho lena

(776) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dasht-e-ajnabiyat Mein In English By Famous Poet Karamat Bukhari. Dasht-e-ajnabiyat Mein is written by Karamat Bukhari. Read famous Poem Dasht-e-ajnabiyat Mein for youth and Student by Karamat Bukhari. Free Download Dasht-e-ajnabiyat Mein in PDF.