BaDe Ajib Hain Duniya Ke Ye Nasheb-o-faraaz

baDe ajib hain duniya ke ye nasheb-o-faraaz

koi paDhe kahan ja kar mohabbaton ki namaz

jahan mein kuchh nahin milta siwa adawat ke

magar nazar mein nahin hai koi bhi us ka jawaz

tamam zindagi is justuju mein guzri hai

na khul saka kisi surat bhi zindagi ka raaz

bas ek nigah mein wo dil ko chhin lete hain

kahan se lae koi un ka ye hasin andaz

kisi bhi haal mein guzre ye zindagi apni

magar na dast-e-talab ho sakega hum se daraaz

kisi ka bhi nahin ab eatibar duniya mein

kahen to kis ko kahen hum jahan mein hamraaz

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDe Ajib Hain Duniya Ke Ye Nasheb-o-faraaz In English By Famous Poet Karan Singh Karan. BaDe Ajib Hain Duniya Ke Ye Nasheb-o-faraaz is written by Karan Singh Karan. Read famous Poem BaDe Ajib Hain Duniya Ke Ye Nasheb-o-faraaz for youth and Student by Karan Singh Karan. Free Download BaDe Ajib Hain Duniya Ke Ye Nasheb-o-faraaz in PDF.