Khoya Kya Paya Kya Hisab Na Kar

khoya kya paya kya hisab na kar

to abas waqt ko KHarab na kar

chhoD hargiz na rah-e-haq-goi

apni manzil ko yun KHarab na kar

saf rakh apna daman-e-kirdar

tu use ashkon se pur-ab na kar

gham na kar dusron pe kya guzre

tu kabhi haq se ijtinab na kar

gham bhi hain zindagi ka ek hissa

dusron ko tu intisab na kar

jo faraez hain bhul jaen 'karan'

is qadar KHud ko mahw-e-KHwab na kar

(1130) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khoya Kya Paya Kya Hisab Na Kar In English By Famous Poet Karan Singh Karan. Khoya Kya Paya Kya Hisab Na Kar is written by Karan Singh Karan. Read famous Poem Khoya Kya Paya Kya Hisab Na Kar for youth and Student by Karan Singh Karan. Free Download Khoya Kya Paya Kya Hisab Na Kar in PDF.