Mile Hain Log Zamane Mein Be-usul Mujhe

mile hain log zamane mein be-usul mujhe

kiya hai surat-e-haalat ne malul mujhe

jahan se sahab-e-kirdar koi guzra hai

bahut aziz hai us raste ki dhul mujhe

jo haq ki rah mein KHud ko miTana jaanta ho

pasand aate hain us shaKHs ke usul mujhe

mili hain mujh ko wirasat mein kuchh ajab qadren

samaj ne diye hain kaghzi se phul mujhe

sada-e-haq meri duniya mein dab gai hai magar

nahin shikast kisi taur bhi qubul mujhe

hai jo bhi dil mein mere us pe ho sake zahir

har ek baat ko dena paDa hai tul mujhe

main sochta tha mera us se koi rishta nahin

kisi ki yaad magar kar gai malul mujhe

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mile Hain Log Zamane Mein Be-usul Mujhe In English By Famous Poet Karan Singh Karan. Mile Hain Log Zamane Mein Be-usul Mujhe is written by Karan Singh Karan. Read famous Poem Mile Hain Log Zamane Mein Be-usul Mujhe for youth and Student by Karan Singh Karan. Free Download Mile Hain Log Zamane Mein Be-usul Mujhe in PDF.