Ab Bhi Aazad Fazaon Ka Na Imkan Nikla

ab bhi aazad fazaon ka na imkan nikla

bab-e-gulshan jise samjhe dar-e-zindan nikla

itna nazdik mere tu bhi kabhi aa na saka

jitna nazdik mere ye gham-e-dauran nikla

un ki mahfil se main le aaya tamanna un ki

log samjhe the ki main be-sar-o-saman nikla

ruk ke ek ashk ne kya kya na jalaya hum ko

dil ka suraj bhi charagh-e-tah-e-daman nikla

hum ne dekha to koi ishq ka talib hi na tha

hum ne puchha to har ek sahab-e-iman nikla

jab bhi malum kiya apni tabahi ka sabab

apne hathon mein KHud apna hi gareban nikla

KHud-numai bhi ajab zulm hai 'nuri' mujh par

hae wo waqt ki main KHud se gurezan nikla

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Bhi Aazad Fazaon Ka Na Imkan Nikla In English By Famous Poet Karrar Noori. Ab Bhi Aazad Fazaon Ka Na Imkan Nikla is written by Karrar Noori. Read famous Poem Ab Bhi Aazad Fazaon Ka Na Imkan Nikla for youth and Student by Karrar Noori. Free Download Ab Bhi Aazad Fazaon Ka Na Imkan Nikla in PDF.