Ek Naya Lahja Banaya Harf-e-alamgir Ka

ek naya lahja banaya harf-e-alamgir ka

fikr ko garma gaya shoala meri taqrir ka

walwala kuchh kam na tha betabi-e-tadbir ka

kis tarah hum man lete faisla taqdir ka

zehn par ghaalib raha hai KHud-satai ka junun

hum ki munh dekha kiye KHud apni hi taswir ka

KHud-shanasi se mili hai zindagi ki aarzu

zindagi KHud ban gai halqa meri zanjir ka

jhuT bole dusron ki aabru ke waste

hum ne zimma le liya hai ghair ki tauqir ka

main ne is andaz se gulshan mein ki 'nuri' fughan

shor barpa kar diya gulchin ne dar-o-gir ka

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Naya Lahja Banaya Harf-e-alamgir Ka In English By Famous Poet Karrar Noori. Ek Naya Lahja Banaya Harf-e-alamgir Ka is written by Karrar Noori. Read famous Poem Ek Naya Lahja Banaya Harf-e-alamgir Ka for youth and Student by Karrar Noori. Free Download Ek Naya Lahja Banaya Harf-e-alamgir Ka in PDF.