Tarikiyon Mein Hum Jo Giraftar Ho Gae

tarikiyon mein hum jo giraftar ho gae

shayad sahar se pahle hi bedar ho gae

ye kaun sa maqam-e-rah-o-rasm hai ki wo

itne hue qarib ki bezar ho gae

manzil ki samt tujh ko na le jaenge kabhi

wo raste jo aap hi hamwar ho gae

nakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya

itne hue zalil ki KHuddar ho gae

ab ke to nok-e-KHar bhi gul-rang ho chali

kal dekhna ki dasht bhi gulzar ho gae

'nuri' hamein jahan mein masarrat ki thi talash

aaKHir har ek shaKHs ke gham-KHwar ho gae

(1046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tarikiyon Mein Hum Jo Giraftar Ho Gae In English By Famous Poet Karrar Noori. Tarikiyon Mein Hum Jo Giraftar Ho Gae is written by Karrar Noori. Read famous Poem Tarikiyon Mein Hum Jo Giraftar Ho Gae for youth and Student by Karrar Noori. Free Download Tarikiyon Mein Hum Jo Giraftar Ho Gae in PDF.