ChaTak Ke Ghunche Sunate Hain Kis Ka Afsana

chaTak ke ghunche sunate hain kis ka afsana

ye kaun aa gaya gulshan mein be-hijabana

hamara hausla-e-dil agar salamat hai

badal hi denge kisi din nizam-e-mai-KHana

na hosh aaega us ko tere karam ke baghair

teri talash mein jo ho gaya hai diwana

yahi hai maslahat-e-waqt sab ko Thukra dun

mujhe samajhti hai duniya to samjhe diwana

kisi ke husn ki tabaniyon ka kya kahna

nigahen ho gain qurban misl-e-diwana

wahin main josh-e-haqiqat mein sar jhuka dunga

jahan milega mujhe naqsh-e-pa-e-jaanana

nasihat aap ki hai to baja magar naseh

wo kya kare ki hai jis ka mizaj rindana

wo jab se mere tasawwur mein aae hain 'kashfi'

bana hua hai tajalli-kada ye kashana

(685) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChaTak Ke Ghunche Sunate Hain Kis Ka Afsana In English By Famous Poet Kashfi Lucknavi. ChaTak Ke Ghunche Sunate Hain Kis Ka Afsana is written by Kashfi Lucknavi. Read famous Poem ChaTak Ke Ghunche Sunate Hain Kis Ka Afsana for youth and Student by Kashfi Lucknavi. Free Download ChaTak Ke Ghunche Sunate Hain Kis Ka Afsana in PDF.