Achanak Kis Ko Yaad Aai Hamari

achanak kis ko yaad aai hamari

kahani kis ne dohrai hamari

chalo aaya na aaya jaane wala

sada to lauT kar aai hamari

guzishta shab hawa se guftugu ki

charaghon ne qasam khai hamari

nazar aaya hai wo bimar apna

khuli jis par masihai hamari

teri KHushbu se hai aabaad ab tak

ye bagh-e-dil ye angnai hamari

zamin aabaad hoti ja rahi hai

kahan jaegi tanhai hamari

(620) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achanak Kis Ko Yaad Aai Hamari In English By Famous Poet Kashif Husain Ghair. Achanak Kis Ko Yaad Aai Hamari is written by Kashif Husain Ghair. Read famous Poem Achanak Kis Ko Yaad Aai Hamari for youth and Student by Kashif Husain Ghair. Free Download Achanak Kis Ko Yaad Aai Hamari in PDF.