Mayusi Ki Kaifiyyat Jab Dil Par Tari Ho Jati Hai

mayusi ki kaifiyyat jab dil par tari ho jati hai

rafta rafta din-o-duniya se be-zari ho jati hai

awwal awwal KHush aata hai pariyon ke KHwabon mein rahna

baad mein lekin ye haalat zehni bimari ho jati hai

aql pe parda paD jata hai duniya hum se kho jati hai

jab koi shaKHsiyyat hum ko had se pyari ho jati hai

rizq muqaddar mein likha hai phir ye karobar-e-jahan kya

ek ek dana kamane mein kis darja KHwari ho jati hai

baz maqam aise hote hain jin se aage baDh jaen to

un tak wapas aane mein behad dushwari ho jati hai

hum to sheari canwas par bas dil ka haal raqam karte hain

sachche jazbon se is par KHud naqsh-nigari ho jati hai

aksar mujh se mahinon 'kashif' koi sher nahin ho pata

taza zaKHm magar lagte hi taza-kari ho jati hai

(920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mayusi Ki Kaifiyyat Jab Dil Par Tari Ho Jati Hai In English By Famous Poet Kashif Rafiq. Mayusi Ki Kaifiyyat Jab Dil Par Tari Ho Jati Hai is written by Kashif Rafiq. Read famous Poem Mayusi Ki Kaifiyyat Jab Dil Par Tari Ho Jati Hai for youth and Student by Kashif Rafiq. Free Download Mayusi Ki Kaifiyyat Jab Dil Par Tari Ho Jati Hai in PDF.