Gham Nairang Dikhata Hai Hasti Ki Jalwa-numai Ka

gham nairang dikhata hai hasti ki jalwa-numai ka

kitne zamanon ka hasil hai ek lamha tanhai ka

tere nazuk lab hain goya mausam ka mauzu-e-suKHan

gulshan gulshan shohra hai shadabi ka ranai ka

apne gham ki fikr na ki is duniya ki gham-KHwari mein

barson hum ne dast-e-junun se kaam liya danai ka

aalam ke har manzar ko kuchh rang nae mil jate hain

kirnen subh ki le jati hain rup teri angDai ka

sahil o tufan ke afsane rang-e-haqiqat kya denge

Dub ke ubhro to irfan ho dariya ki gahrai ka

dil mein 'kausar' aae kitne daur taghayyur ke lekin

naqsh-e-tamanna par jab dekho aalam hai barnai ka

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Nairang Dikhata Hai Hasti Ki Jalwa-numai Ka In English By Famous Poet Kausar Jayasi. Gham Nairang Dikhata Hai Hasti Ki Jalwa-numai Ka is written by Kausar Jayasi. Read famous Poem Gham Nairang Dikhata Hai Hasti Ki Jalwa-numai Ka for youth and Student by Kausar Jayasi. Free Download Gham Nairang Dikhata Hai Hasti Ki Jalwa-numai Ka in PDF.