Karte Hain Wahi Log Jahan Taza-tar Aabaad

karte hain wahi log jahan taza-tar aabaad

har daur mein rakhte hain jo sina sharer-abaad

pur-shor gulistan hain na ab dasht-o-dar aabaad

kya jaane kahan ho gae ahl-e-nazar aabaad

Thahraw kisi shai ke muqaddar mein nahin hai

duniya hai wo jada jise kahiye safar-abaad

KHwabon ke sanam-KHane salamat hain to yunhi

fitnon se rahega KHam-e-zulf-o-kamar aabaad

hamsaegi-o-rabt ki KHushbu bhi kahin hai

karti hain bahaaren to nagar par nagar aabaad

naghmon se jahan raushni-e-dard thi kal tak

sannaTe se hai aaj wo shaKH-e-shajar aabaad

'kausar' hai suKHan-tab mera shahr-e-taKHayyul

is shahr mein hain aaj bhi aaina-gar aabaad

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karte Hain Wahi Log Jahan Taza-tar Aabaad In English By Famous Poet Kausar Jayasi. Karte Hain Wahi Log Jahan Taza-tar Aabaad is written by Kausar Jayasi. Read famous Poem Karte Hain Wahi Log Jahan Taza-tar Aabaad for youth and Student by Kausar Jayasi. Free Download Karte Hain Wahi Log Jahan Taza-tar Aabaad in PDF.