Yaad-e-ayyame Koi Wajh-e-pareshani To Thi

yaad-e-ayyame koi wajh-e-pareshani to thi

aankh yun KHali nahin thi is mein hairani to thi

lab pe mohr-e-KHamushi pahle bhi lagti thi magar

aah ki ruKHsat to thi ashkon ki arzani to thi

thi nazar ke samne kuchh to talafi ki umid

khet sukha tha magar dariya mein tughyani to thi

bazm se uTThe to kya KHalwat mein ja baiThe to kya

tark-e-duniya par bhi duniya jaani-pahchani to thi

dard ek jauhar hai paikar se gharaz rakhta nahin

aankh mein aansu na the lab par ghazal-KHwani to thi

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaad-e-ayyame Koi Wajh-e-pareshani To Thi In English By Famous Poet Kausar Jayasi. Yaad-e-ayyame Koi Wajh-e-pareshani To Thi is written by Kausar Jayasi. Read famous Poem Yaad-e-ayyame Koi Wajh-e-pareshani To Thi for youth and Student by Kausar Jayasi. Free Download Yaad-e-ayyame Koi Wajh-e-pareshani To Thi in PDF.