Ab Ye Bachche Nahin Bahlawe Mein Aane Wale

ab ye bachche nahin bahlawe mein aane wale

kal bhi aae the idhar khel dikhane wale

ek muddat se KHamoshi ka hai pahra har-su

jaane kis or gae shor machane wale

hu ka aalam jo tha pahle wo hai qaem ab bhi

ghumte thak gae basti ko jagane wale

ishq ki aag ne jalwaon ko jawan rakkha hai

log baqi hain abhi naz uThane wale

us ka har tir-e-nazar dil mein utar jata hai

yun to dekhe hain bahut hum ne nishane wale

jis ko karna tha yahan kaam wo to kar bhi gae

rat-jaga karte rahe Dhol bajaane wale

ab to sahra mein samundar ka sakun dar aaya

jab se anqa hue hain KHak uDane wale

(640) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ye Bachche Nahin Bahlawe Mein Aane Wale In English By Famous Poet Kausar Mazhari . Ab Ye Bachche Nahin Bahlawe Mein Aane Wale is written by Kausar Mazhari . Read famous Poem Ab Ye Bachche Nahin Bahlawe Mein Aane Wale for youth and Student by Kausar Mazhari . Free Download Ab Ye Bachche Nahin Bahlawe Mein Aane Wale in PDF.