Zarb-e-paiham

ye kya zarb-e-paiham si

har dam hai sine pe mere

kabhi zarb ulTi lagi ya

meri pusht KHud zarb-e-paiham se ulTi

tu phir riDh ki haDDiyan meri chTKHin

ki sarhad pe jun ek masum bachche ki haDDi

mujahid ke buTon ki zad mein paDi charmaraati rahi ho

to kya zarb-e-paiham se pichha chhuDana bhi mumkin nahin hai?

nahin hai to kya main bhi sikhun

wahi zarb-e-paiham ki sari adaen?

ki ye zarb-e-paiham muqabil kabhi zarb-e-paiham ke aae

ye mumkin hai ifham-o-tafhim ki koi surat bhi nikle

koi sur mohabbat ka phuTe, faza gungunae

(633) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zarb-e-paiham In English By Famous Poet Kausar Mazhari . Zarb-e-paiham is written by Kausar Mazhari . Read famous Poem Zarb-e-paiham for youth and Student by Kausar Mazhari . Free Download Zarb-e-paiham in PDF.