Baat Qismat Ki To Kuchh Ai Dil-e-nakaam Nahin

baat qismat ki to kuchh ai dil-e-nakaam nahin

apni taqsir hai ye gardish-e-ayyam nahin

ai masiha kabhi tu bhi to use dekhne aa

tere bimar ko sunte hain ki aaram nahin

ek wo jin ke tasarruf mein hain sab mai-KHane

ek hum jin ke liye durd-e-tah-e-jam nahin

mujh ko ye gham ki unhen dekhne wale hain bahut

un ko shikwa ki yahan zauq-e-nazar aam nahin

safar-e-ishq mubarak ho ki is mein 'kausar'

gham-e-aghaz nahin KHatra-e-anjam nahin

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Qismat Ki To Kuchh Ai Dil-e-nakaam Nahin In English By Famous Poet Kausar Niyazi. Baat Qismat Ki To Kuchh Ai Dil-e-nakaam Nahin is written by Kausar Niyazi. Read famous Poem Baat Qismat Ki To Kuchh Ai Dil-e-nakaam Nahin for youth and Student by Kausar Niyazi. Free Download Baat Qismat Ki To Kuchh Ai Dil-e-nakaam Nahin in PDF.