MakDi Ke Jalon Mein Kab Se Qaid Hain Raushan-dan Mare
makDi ke jalon mein kab se qaid hain raushan-dan mere
hae kya sochenge ghar ko dekh ke kal mehman mere
ab ke baras to dil ki zamin par aag falak se barsi hai
fikr ki gandum ke danon se KHali hain khaliyan mere
meri zaban par maslahaton ke pahre hain to phir kya hai
haq ke alam-bardar hain ab bhi mazdur o dahqan mere
aaj hisar-e-dar-o-rasan mein hun par aane wala din
shahr ki diwaron par chaspan dekhega farman mere
shakl-o-shabahat mein be-shak kuchh farq zara sa tha warna
the to masiha bhi insan aur qatil bhi insan mere
bar-sar-e-am iqrar agar na-mumkin hai to yunhi sahi
kam-az-kam idrak to kar le gun be-shak mat man mere
kal 'kausar' mere aangan mein raqs-e-bahaaran tha lekin
aaj taraste hain kaghaz ke phulon ko gul-dan mere
(1064) Peoples Rate This