Chhai Hai Qayamat Ki GhaTa Dekhiye Kya Ho

chhai hai qayamat ki ghaTa dekhiye kya ho

barse to barasne ki ada dekhiye kya ho

khul khul ke sabhi phul to masrur hain lekin

masmum hai gulshan ki faza dekhiye kya ho

phir josh mein hain aaj mere madd-e-muqabil

hai meri wafa un ki jafa dekhiye kya ho

sar joD ke baiThe hain sabhi sulh ki KHatir

hain un ke KHayalat juda dekhiye kya ho

tufan hawadis mein jalane to chala hun

ek mehr-o-uKHuwwat ka diya dekhiye kya hu

haq baat bhi arbab-e-adalat ko khali hai

izhaar-e-haqiqat ki saza dekhiye kya ho

sahra-e-tajassus mein talash apni hai 'kausar'

kuchh yaad nahin apna pata dekhiye kya ho

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhai Hai Qayamat Ki GhaTa Dekhiye Kya Ho In English By Famous Poet Kausar Siwani. Chhai Hai Qayamat Ki GhaTa Dekhiye Kya Ho is written by Kausar Siwani. Read famous Poem Chhai Hai Qayamat Ki GhaTa Dekhiye Kya Ho for youth and Student by Kausar Siwani. Free Download Chhai Hai Qayamat Ki GhaTa Dekhiye Kya Ho in PDF.